KAHO YAA MEHDI Kaho ya mehdi
KAHO YAA MEHDI Kaho ya mehdi
mir hasan mir manqabat 2012
KAHO YAA MEHDI Kaho ya mehdi
mir hasan mir manqabat 2012
mir hasan 2012 manqabat KAHO YAA MEHDI Kaho ya mehdiKAHO YAA MEHDI Kaho ya mehdi mir hasan manqabat 2012
Ya mehdi *6
As salam assalam ai imame zaman
Kaho ya mehdi *4
Ye sari qaaenaat hai qaem imam se 2
Baki khuda ka naam hai mehdi k naam se
Ek pal ko sochye na agar ho shahe zama
Badal rahe ne abr na barsaat ka nisha
Pis jae kaaenaat pahado ke darmiya
Dharti k sar pe aan gire pal me asmaa
In sare hadsate zamana ke saamne 2
Diwar khaich rakkhi hai mere imam ne
Suraj ko saare raste batata hay khud imam
Mashrik hai yeh yaha se nikalna hai tera kaam
Thak jae gar safar me toh phir bhi hai ek maqaam
Magrib hai mere kadmo me karna yahi qayaam
Keh de jaha se wah se nikalta hay
aaftaab 2
Mehdi se puch puchke chalta hai aaftaab
Wo hai toh kaaenat hai woh hai to zindagi
Wo hai toh namaaz hai woh hai to bandagi
Wo hai to aarahi hai sada ya husain ki
Woh hai toh ho raha hai jahame ali ali
Ab jo khilafe zikre ali lab
hilaayega 2
Dunya se behisaab jahannum me jaaayega
Ane se uske hogi sitam ki kitaab band
Hoga har ek muftie shar ka nisab band
Ghaibat ka dar khulege hisab band
Maula kahege ho gaya tauba ka baab band
Apney paro se pehle mohibbo ko aad do 2
Jibreel fir zamin ko dozakh me daal do
Raze muqatteat ka humraz aaega
Quran ali ka likkha hua sath laega
Shane nuzul aayato ki khud bataega
Makki se madni madni se makki milaega
Far far sahifa bolega uski janab me 2
Wo jan dal dega khuda ki kitab me
Hoga imame waqt yu masrufe karzar
Kandhe pe beniyam rakhi hogi zulfiqar
Allah hoga khud wali allah par nisar
Talwar khud kahegi jari waar waar waar
Fairist dege dushmane aale rasul ki 2
Fir dkh kya karegi saheli batool ki
Tanzime rozdar ka nazim jab aega
Tabdiliya bashar ki woh fitrat melaega
Dunya ko apna haqqe tasarruk dikhaega
Insan fir apni soch se bhi agey jaega
Khairat me imam se paega maujiza 2
Mitti ka admi b dikhaega maujiza
Hogi kaza ke hath me jine khi jabumang
Aa jaega har ek bashar zindagi se tang
Iblisyat dikhaegi dunya ko apna rang
Naeb khuda ka akey karega khuda ki jang
Mit jaega badi ka nisha kaaenat me 2
Shaitan mara jaega mehdi k hath se
Yu aas hai zuhur ki dilke dayar me
Akbar jo maut a b gai intezar me
Fir b tadap rahegi dile bekarar me
Hum muntazir rahege hamesha mazar me
Dega sadaae jab bhi hume waqt ka husain 2
Kabro se hum pukarege labbaik labbaik
labbaik ya husain
Comments
Post a Comment